raushni subh ki ya shab ki syahi denge jo bhi dena hai tumhein zill-e-ilahi denge shaikh sahab to azal se hain dushman mere kha ke quran ki qasam jhuti gawahi denge un se rakhiye na kisi mehr-o-wafa ki ummid ye to aise hain ki suraj ko syahi denge mausam-e-lutf-e-ata hai abhi maikhane mein jam kya chiz hai ye tum ko surahi denge to hiqarat ki nazar se na unhen dekh miyan ye phate kapde tujhe khilat-e-shahi denge aisa lagta hai hawaon ke ye pagal jhonke ret par likkhi ibarat ko mita hi denge itni mayusi bhi achchhi nahin khote sikko ek na ek din tumhein hum log chala hi denge karke ye faisla hum ghar se chale hain 'qaisar' kuchh khari khoti tumhein aaj suna hi denge