sham-e-gham se shab-e-andoh se chashm-e-tar se baz aaya main teri yaad ke us lashkar se yan shab-o-roz hai matlab kise khair-o-shar se zindagi ka hai ajab silsila sim-o-zar se jo tujhe chaha batana na bataya phir bhi kab chhupa haal-e-dil-e-sokhta nama-bar se baad-e-takmil hui ghar ki haqiqat malum ghar kahan banta hai diwar se chhat se dar se mehrbanon mein tera nam to likkha hai magar khub waqif hun meri jaan tere tewar se sar bachata hun to phir panw nikal jate hain aib iflas ka chhupta hi nahin chadar se hirs ki daud se rahta hun alag ai 'anjum' faiz pahuncha hai mujhe dars-e-gah-e'qaisar' se