shaKH-e-gul hai ki ye talwar khinchi hai yaro

shakh-e-gul hai ki ye talwar khinchi hai yaro
bagh mein kaisi hawa aaj chali hai yaro

kaun hai khauf-zada jashn-e-sahar se puchho
raat ki nabz to ab chhut chali hai yaro

tak ke dil se dil-e-shisha-o-paimana tak
ek ek bund mein sau shama jali hai yaro

chum lena lab-e-lalin ka hai rindon ko rawa
rasm ye baada-e-gul-gun se chali hai yaro

sirf ek ghuncha se sharminda hai aalam ki bahaar
dil-e-khun-gashta ke honton pe hansi hai yaro

wo jo angur ke khoshon mein thi manind-e-nujum
dhal ke ab jam mein khurshid bani hai yaro

bu-e-khun aati hai milta hai bahaaron ka suragh
jaane kis shokh sitamgar ki gali hai yaro

ye zamin jis se hai hum khak-nashinon ka uruj
ye zamin chand sitaron mein ghiri hai yaro

jura-e-talkh bhi hai jam-gawara bhi hai
zindagi jashn-gah-e-baada-kashi hai yaro


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close