khud se nibah shaq hua hai kabhi kabhi sara wajud chaq hua hai kabhi kabhi dhunda use to khud se mulaqat ho gai aisa bhi ittifaq hua hai kabhi kabhi har zawiye se aks ko dekha hai aankh ne har baat ka firaq hua hai kabhi kabhi hail hai jo azal se mere haal-o-qal mein wo bhi ayan nifaq hua hai kabhi kabhi hanste hain jab bhi log to lagta hai yun mujhe mujh se bhi ye mazaq hua hai kabhi kabhi khamoshiyon ki tarz se bawar hua mujhe dil be-hisi mein taq hua hai kabhi kabhi 'rahat' hai jis ki zat se rishta qarib ka wo bhi aziz aaq hua hai kabhi kabhi