zindagi yun bhi guzari ja rahi hai jaise koi jang haari ja rahi hai jis jagah pahle ke zakhmon ke nishan mein phir wahin par chot mari ja rahi hai waqt-e-rukhsat aab-dida aap kyun hain jism se to jaan hamari ja rahi hai bol kar tarif mein kuchh lafz us ki shakhsiyat apni nikhaari ja rahi hai dhup ke dastane hathon mein pahan kar barf ki chadar utari ja rahi hai