khud tark-e-muddaa par majbur ho gaya hun taqdir ke likhe se mazur ho gaya hun apni khudi ki dhun mein mansur ho gaya hun khud ban gaya hun jalwa khud tur ho gaya hun un ko bhula raha hun wo yaad aa rahe hain kis darja dil ke hathon majbur ho gaya hun sab mit gain umiden sab pis gain umangen dil ki shikastagi se khud chor ho gaya hun pachhta raha hun un ko furqat mein yaad kar ke wo pas aa gae hain main dur ho gaya hun mayus ho chuka hun ummid ki jhalak se main jabr karte karte majbur ho gaya hun 'talib' shikast-e-dil ki ek aakhiri sada par duniya samajh rahi hai mansur ho gaya hun