khud uth ke hath mere gareban mein aa gae shayad qadam junun ke gulistan mein aa gae is ke siwa bataen asiri ka kya sabab ghabrae anjuman se to zindan mein aa gae kya hoga chaar phulon se ai mausam-e-bahaar ye to hamare gosha-e-daman mein aa gae josh-e-bahaar aur ye be-ikhtiyariyan su-e-chaman chale the bayaban mein aa gae 'simab' kibr-o-naz ka anjam kuchh na puchh sab rafta rafta gor-e-ghariban mein aa gae