sach to baiTh ke khata hai

sach to baith ke khata hai
jhuth kama kar lata hai

yaad bhi koi aata hai
yaad to rakh jata hai

jaise lafz hon waisa hi
munh ka maza ho jata hai

phir dushman badh jaenge
kis ko dost banata hai

kaisi khushk hawaen hain
subh se din chadh jata hai

use ghata kar duniya mein
baqi kya rah jata hai

jaane wo is chehre par
kis ka dhoka khata hai

ishq se badh kar kaun hamein
duniya-dar banata hai

dil jaisa masum bhi aaj
apni aql chalata hai

kuchh to hai jo sirf yahan
meri samajh mein aata hai

mushkil sun li jati hai
koi karam farmata hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close