zulmat hai to phir shoala-e-shab-gir nikalo khurshid koi shab ka jigar chir nikalo katta hai kabhi nakhun-e-angusht se kohsar patthar na kuredo koi tadbir nikalo main gul hun mujhe shakh pe khilna hai ba-har-taur tum khak se gul-khezi ki tasir nikalo tum roghan-e-khun burrish-e-shamshir se bhar kar jo chaho mere jism se taswir nikalo jo zehn mein tha khwab mein dekha hai wahi kuchh jo chaho ab is khwab ki tabir nikalo ye shahr-e-shikasta hai nae shahr ki buniyaad ek taza dar-o-baam ki tamir nikalo auraq-e-shab-e-rafta siyah honge magar tum is bab se ye surkhi-e-tahrir nikalo