mere nalon mein ham-sar josh-e-dariya ho nahin sakta mera ham-gard sahra mein bagula ho nahin sakta dawa se hijr ka bimar achchha ho nahin sakta dua se dekhen ho sakta hai kuchh ya ho nahin sakta wo bulbul hun ki fasl-e-gul mein ghaugha ho nahin sakta wo tuti hun ki aaine se goya ho nahin sakta giran-jaani bhi is sanjidgi ke sath hai mujh mein ki koh-e-kohkan pasang mera ho nahin sakta chhupao shakl ya taqrir par be-parda kahta hun ki mujh ko tum se tum ko mujh se parda ho nahin sakta wo zarra hun ki khurshid-e-qayamat bhi na chamkae wo qatra hun samundar se bhi dariya ho nahin sakta wo gumrah hun ki khizr aae hidayat ko to gumrah ho wo murda hun ki isa se bhi zinda ho nahin sakta wo wahshi hun ki mujh se bhagta hai aahu-e-wahshat wo majnun hun koi ham-pesha mera ho nahin sakta wo sar-gashta hun wahshat har qadam chakraati hai mujh se mere daure mein koi sar-ba-sahra ho nahin sakta qubul-e-khatir-o-lutf-e-sukhan ai 'rashk' aur hi hai nahin to shairon se aur kya kya ho nahin sakta