khuda ke fazl se hum haq pe hain baatil se kya nisbat hamein tum se talluq hai mah-e-kaamil se kya nisbat mah-e-kanan ko mere is mah-e-kaamil se kya nisbat zulekha ke mulawwis dil ko mere dil se kya nisbat hama ka ram zi-khud-kaami ba-badnami kashid aakhir kabhi main ne na socha raaz ko mahfil se kya nisbat kahe jata hai jo waiz sune jate hain hum lekin jo ahl-e-dil nahin us ko hamare dil se kya nisbat mujhe hai sadma-e-hijran adu ko saikdon khushiyan mere ujde hue ghar ko bhari mahfil se kya nisbat khuda hi phir bharosa hai khuda hai nakhuda mera wagarna main bhanwar mein hun mujhe sahil se kya nisbat firaq-e-yar mein mera dil-e-muztar na thahrega tumhin socho sukun ko tair-e-bismil se kya nisbat kaniz-e-hazrat-e-mushkil-kusha hun dil se main 'parwin' talluq mujh ko aasani se hai mushkil se kya nisbat