sabr mushkil tha mohabbat ka asar hone tak

sabr mushkil tha mohabbat ka asar hone tak
jaan thahri na dil-e-dost mein ghar hone tak

shab-e-furqat ki bhi hone ko sahar to hogi
han magar hum nahin hone ke sahar hone tak

sahne hain jaur-o-sitam jhelne hain ranj-o-alam
yani karni hai basar umr basar hone tak

tera parda bhi utha degi meri ruswai
tera parda hai mere khak-ba-sar hone tak

mutazalzal to hai muddat se nizam-e-alam
naubat aa pahunchi hai ab zer-o-zabar hone tak

fursat-e-matam-e-parwana kahan se aae
shama ko maut se ladna hai sahar hone tak

ai 'wafa' marka-e-ishq to sar kya hoga
ho chukenge hamin ye marka sar hone tak


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close