muddat se hai libas-e-badan tar tar dost maila bhi hai utar ab is ko utar dost bakhiye ki ab jagah hai na paiwand ki jagah kya si rahe hain is ko tere gham-gusar dost tha jis mein zindagi ka guman wo to ja chuki ye zindagi hai us ke qadam ka ghubar dost jo zindagi thi laghzish-e-paiham ka silsila hai jumbish-e-khafif use nagawar dost aage jo ja chuka hai wo har lamha-e-hayat tujh ko pukarta hai sun us ki pukar dost haalat ne jo lad diya teri pith par gardan jhatak ke phenk de jaldi wo bar dost thi zindagi khuda ka ghazab aur 'mazhari' maut ek khuda ka pyar hai le us ka pyar dost