khuda ke waste chehre se tuk naqab utha ye darmiyan se ab parda-e-hijab utha ye kaun baada-parasti hai ai but-e-bad-mast utha jo bazm se teri so ho kabab utha mutalee se tere bait-abruon ke shokh rakkhi hai shaikh ne ab taq par kitab utha basan-e-naqsh-e-qadam jis ne pa-turab kiya wo rah-e-ishq mein mit kar gharaz shitab utha ba-chashm-e-tar hi koi dam tu baith warna abas tu ek dam ke liye bahr se hubab utha piya hai shisha-e-gardun se jis ne ek jura misal-e-jam wo ba-dida-e-pur-ab utha 'nasir' shor na kar fitna howega barpa khuda-na-khwasta ab gar wo mast-e-khwab utha