utha surahi ye shisha wo jam le saqi phir is ke baad khuda ka bhi nam le saqi phir is ke baad hamein tishnagi rahe na rahe kuchh aur der murawwat se kaam le saqi tere huzur mein hosh-o-khirad se kya hasil kabhi to hosh-o-khirad se bhi kaam le saqi phir is ke baad jo hoga wo dekha jaega abhi to pine-pilane se kaam le saqi hamein hai kaif-o-nashat-o-surur se matlab nahin hai mai to nigahon se kaam le saqi ye aur kuchh bhi hon kafir nahin hain tere rind tu baad-e-jam khuda ka bhi nam le saqi kaho ye khizr se bhatke na yun zamane mein yahan se aab-e-baqa-e-dawam le saqi sahar ka kaam nahin mai-kade ki duniya mein sahar ka nam na le lutf-e-sham le saqi kabhi tha zinat-e-mahfil wo rind-e-dariya-nosh ba-waqt-e-daur 'sahar' ka bhi nam le saqi