un ki surat hamein aai thi pasand aankhon se aur phir ho gai baala-o-buland aankhon se koi zanjir nahin tar-e-nazar se mazbut hum ne is chand pe dali hai kamand aankhon se thahr sakti hai kahan us rukh-e-taban pe nazar dekh sakta hai use aadmi band aankhon se hum uthate hain maza talkhi o shirini ka mai piyale se pilata hai wo qand aankhon se baat karte ho to hota hai zaban se sadma dekhte ho to pahunchta hai gazand aankhon se har mulaqat mein hoti hain hamare mabain chand baaten lab-e-guftar se chand aankhon se ishq mein hausla-mandi bhi zaruri hai 'shuur' dekhiye us ki taraf hausla-mand aankhon se