nazron mein samaya hai ek jalwa-e-jaanana ab donon barabar hain kaba ho ki but-khana andaz-e-junun mera aisa hai hakimana farzanon mein farzana diwanon mein diwana waiz ne nahin khola ek raaz-e-haqiqat bhi bas baaten hi baaten hain afsana hi afsana ye surat-e-naz achchhi ye rasm-e-niyaz achchhi husn apnon se begana ishq aap se begana wo rind-e-azal hun main saqi ki nigahon mein sad jaan-e-adab meri ek laghzish-e-mastana rahti hai mudam ulti rindan-e-qadah-kash se aflak ki gardish ho ya gardish-e-paimana waiz ko shikayat kyon waiz ki shikayat kya main hosh se begana ye aql se begana hangama hawas ka ho ya ishq ko shorish ho ek dil hi pe mabni hai kaunain ka afsana ye soz mere dil ka kab us ko mayassar tha jalti hui kya rahti khakistar-e-parwana tha hosh ke dam tak hi har shikwa-e-be-mehri ab tum se kahega kya dil aap se begana padti hai nazar mujh par ab shaikh-e-haram ki bhi tujh se wo iradat hai ai murshid-e-mai-khana pindar-shikan masti saqi se mili warna mai-khana hila deti ek jurat-e-rindana is rah-e-mohabbat mein kuchh pesh nahin chalti 'shakir' wo kahan apni ab himmat-e-mardana