main sarapa mazhar-e-ism-e-khuda wallah hun ham-safiro is chaman mein murgh-e-bismillah hun kis taraf jaun dikha do ya mohamad rah-e-haq yan har ek gumrah kahta hai main khizr-e-rah hun ai masiha teri zulfon ki daraazi dekh kar kahti hi umr-e-khizar main gesu-e-kotah hun aasman par bhi siyah-bakhti mein hai mera dimagh khal-e-ru-e-mehr hun dagh-e-jabin-e-mah hun kah rahi hai aasman se yar ke ghar ki zamin tur hun sahra-e-aiman hun tajalli-gah hun baithna kaisa idhar aaya udhar rahi hua din jo hun to mukhtasar hun shab jo hun kotah hun allah allah kya hai in ke panw ki thokar ka lutf hai har ek but ki tamanna kash sang-e-rah hun roz-e-mahshar se 'wazir' afzun hai is kafir ka tul ab bhi kahti hai shab-e-furqat bahut kotah hun