yaad kya dast-e-hunar hai ki sanwarta gaya main

yaad kya dast-e-hunar hai ki sanwarta gaya main
us ko socha to use yaad hi karta gaya main

is ko tahzib-e-junun kahiye ki mujh se pahle
jaise bikhre hain sabhi log bikharta gaya main

naqsh kitne the ki madum hue silsila-war
aur har naqsh ke pahle se ubharta gaya main

ek taswir banai thi mukammal na hui
ek hi rang lahu rang tha bharta gaya main

harf-e-iqrar hi kahta raha be-khaufi se
yani inkar ke aashob se darta gaya main

daman-e-waqt se sau harf-e-sataish bhi chune
aur ilzam sabhi waqt pe dharta gaya main

apne andar ke talatum ne rakha hai aabaad
khud hi iqrar kiya khud hi mukarta gaya main

mujh mein har lamha fuzun-tar hua andoh-e-jamal
aur taswir ke manind sanwarta gaya main

har nafas badhta gaya us ki tamanna ka kharosh
lamha lamha isi wahshat mein nikharta gaya main

zindagi ku-e-malamat hai koi kya thahre
apni hi waza ka main hun so thaharta gaya main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close