khuda rakkhe tujhe meri burai dekhne wale wafadari mein tarz-e-bewafai dekhne wale sambhal ab nala-e-dil ki rasai dekhne wale qayamat dhaenge roz-e-judai dekhne wale tere khanjar ko bhi teri tarah hasrat se takte hain teri nazuk kamar nazuk kalai dekhne wale jhijak kar aaine mein aks se apne wo kahte hain yahan bhi aa gae surat parai dekhne wale palak jhapki ki dil ghaeb baghal khali nazar aai teri nazron ki dekhenge safai dekhne wale inhin aankhon se tu ne nek-o-bad aalam ka dekha hai idhar to dekh ai sari khudai dekhne wale gire ghash kha ke jab musa kaha barq-e-tajalli ne qayamat tak na dega wo dikhai dekhne wale meri mayyat pe ban aai hai un ki sab se kahte hain wafadaron ki dekhen bewafai dekhne wale nazar milti hai pichhe pahle tanti hain bhanwen un ki kahan tak dekhe jaen kaj-adai dekhne wale mita inkar to hujjat ye nikli munh dikhane mein ki pahle jama kar den ru-numai dekhne wale kahan tak roen qismat ke likhe ko bas ulat parda tujhe dekhenge ab teri khudai dekhne wale kabhi qadmon mein tha ab un ke dil mein hai jagah meri mujhe dekhen muqaddar ki rasai dekhne wale koi itna nahin jo aa ke puchhe hijr mein 'bekhud' tera kya haal hai ranj-e-judai dekhne wale