nind bhi tere bina ab to saza lagti hai chaunk padta hun agar aankh zara lagti hai fasla qurb bana qurb bhi aisa ki mujhe dil ki dhadkan tere qadmon ki sada lagti hai dushman-e-jaan hi sahi dost samajhta hun use bad-dua jis ki mujhe ban ke dua lagti hai khud agar nam lun tera to larazta hai badan ghair gar baat kare chot siwa lagti hai aise mahbas mein janm apna hua hai ki mujhe har dariche se badi sard hawa lagti hai tanz-amez nahin hai mera andaz-e-sukhan talkh be-shak hai magar baat juda lagti hai