koi model na koi ideal chahiye hai

koi model na koi ideal chahiye hai
aaj bhi chahiye tu hi mujhe kal chahiye hai

qaid kar banhon mein phir zulf ko zanjir bana
ab koi kat-kapat aur na chhal chahiye hai

meri ghaflat hai tere husn-e-mujassam ka zawal
mujh ko tanhai mein pur-nur khalal chahiye hai

ek muddat se main mahbus hun apne andar
dam ghuta jata hai kuchh radd-o-badal chahiye hai

waqt ka koi taqaza nazar-andaz nahin
dil ba-zid hai use hairani ka hal chahiye hai

rotiyan senkne baithe hain siyasat wale
un ko to barq-o-sharar raqs-e-ajal chahiye hai

istada hain gulistan mein bahaim har su
tairo ghul karo ye nek amal chahiye hai

in ko mahaul ki sangini ka ehsas nahin
jo ye kahte hain ki rangin ghazal chahiye hai

izzat-e-nafs ka mushkil hai tahaffuz yani
ek firqe ko yahan jang-o-jadal chahiye hai

'sarfaraaz' ab wahi hat-dharm qile ka ghasib
kah raha hai ki use taj-mahal chahiye hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close