khudaon ki khudai ho chuki bas khudara bas duhai ho chuki bas kisi dhab se nipat lo jab maza hai bahut zor-azmai ho chuki bas bujhae kaun tu jis ko jalae patangon ki chadhai ho chuki bas hawa mein ud gaya ek ek patta gulon ki jag-hansai ho chuki bas bhala ab kya jachun apni nazar mein nazar apni parai ho chuki bas raha kya jab dilon mein farq aaya usi din se judai ho chuki bas pade ho kaun se goshe mein tanha 'yagana' kyun khudai ho chuki bas