khudi ka nashsha chadha aap mein raha na gaya khuda bane the 'yagana' magar bana na gaya payam-e-zer-e-lab aisa ki kuchh suna na gaya ishaara pate hi angdai li raha na gaya hansi mein wada-e-farda ko talne walo lo dekh lo wahi kal aaj ban ke aa na gaya gunah-e-zinda-dili kahiye ya dil-azari kisi pe hans liye itna ki phir hansa na gaya pukarta raha kis kis ko dubne wala khuda the itne magar koi aade aa na gaya karun to kis se karun dard-e-na-rasa ka gila ki mujh ko le ke dil-e-dost mein sama na gaya buton ko dekh ke sab ne khuda ko pahchana khuda ke ghar to koi banda-e-khuda na gaya kirshn ka hun pujari ali ka banda hun 'yagana' shan-e-khuda dekh kar raha na gaya