kisi se koi na puchhe mizaj kaisa hai

kisi se koi na puchhe mizaj kaisa hai
tumhaari bazm ka jaane riwaj kaisa hai

kisi tarah bhi na zakhm-e-jigar bhare ab tak
na puchho zakhm hain kaise ilaj kaisa hai

sukun nasib nahin raushni mein hiron ki
kisi nasib mein hiron ka taj kaisa hai

bade khulus se kal tak gale jo milta tha
chhupae hath mein khanjar wo aaj kaisa hai

hue samaj mein paida samaj ke dushman
jadid daur ka dekho samaj kaisa hai

pahunch saki dar-e-insaf par na jab aawaz
jafa-e-waqt pe ye ehtijaj kaisa hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close