main be-zaban hun use khu hai sawal ki kaise nikal sake koi surat visal ki kaise bataun main ki wo kitna hasin hai aajiz hain wusaten mere khwab-o-khayal ki itna wo meri zat se ghafil kabhi na tha shayad khabar na hogi use mere haal ki tirchhi si ek nigah bhi musa na sah saka phir kis mein tab ho tere husn-o-jamal ki maut-o-hayat hai teri an-ban ka falsafa tamsil ye bhi hai tere dhab teri chaal ki jab se khuli taghayyur-e-afaq ki girah tartib khul gai hai teri chaal-dhaal ki bil-farz do-jahan tera sadqa utar dun qimat na de sakunga tere ek baal ki kab tak jiyun main tere bina tere shahr mein din ek sadi ka hota hai raat ek sal ki ye aur baat kuchh bhi tawarud mein aa pade tuf hai jo bhik mangun kisi se khayal ki 'waqif' us aadmi ke nasab mein bigad hai azmat jo bhul baitha mohammad ki aal ki