khuli aankhen hain par soya hua hun tumhaari yaad mein duba hua hun badan ek din chhua tha tum ne mera usi din se bahut mahka hua hun mujhe pagal samajhti hai ye duniya tasawwur mein tere khoya hua hun jahan tum chhod kar mujh ko gae the usi raste pe main baitha hua hun khuda ka hai karam 'santosh' mujh par har ek mahfil pe main chhaya hua hun