khulti hi nahin aankh ujalon ke bharam se

khulti hi nahin aankh ujalon ke bharam se
shab-rang hua jaun main suraj ke karam se

tarkib yahi hai use phulon se dhaka jae
chehre ko bachana bhi hai patthar ke sanam se

ek jhil sarikhi hai ghazal dasht-e-adab mein
jo dur thi jo dur rahi dur hai hum se

aakhir ye khula wo sabhi tajir the guhar ke
jin ke bhi marasim the mere dida-e-nam se

kyun kar wo kisi mil ke patthar pe thahar jae
kyun rind ki nisbat ho tere dair-o-haram se

ye mere takhallus ka asar mujh pe hua hai
ab yaad nahin apna mujhe nam qasam se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close