shama ka mai ka shafaq-zar ka gulzar ka rang sab hain aur sab se juda hai lab-e-didar ka rang aks-e-saqi se chamak utthi hai saghar ki jabin aur kuchh tez hua baada-e-gulnar ka rang shaikh mein himmat-e-rindan-e-qadah-khwar kahan ek hi jam mein aashufta hai dastar ka rang un ke aane ko chhupaun to chhupaun kyun kar badla badla sa hai mere dar-o-diwar ka rang shafaq-e-subh-e-shahadat se hai tabinda jabin warna aaluda-e-khun tha ufuq-e-dar ka rang aaftabon ki tarah jagi hai insan ki jot jagmagata hai sira parda-e-asrar ka rang waqt ki ruh munawwar hai nawa se meri asr-e-nau mein hai meri shokhi-e-afkar ka rang