kya sath tera dun ki main ek mauj-e-hawa hun bas ek nafas arz-e-tamanna ko ruka hun rahta hun bagulon ki tarah raqs mein be-tab ai ham-nafaso main dil-e-sahra se utha hun qatra hun main dariya mein mujhe kuchh nahin malum ham-rah mere kaun hai main kis se juda hun ek lamha thahar mujh ko bhi ham-rah liye chal ai laila-e-hasti tera naqsh-e-kaf-e-pa hun ai zabt-e-nazar de mere iman ki gawahi tu hi to samajhta hai ki main kaun hun kya hun chahe bhi to wo mujh se juda ho nahin sakta wo hai meri zanjir to main us ki sada hun main arsh-nashin bhi hun tere ghar ka makin bhi main nikhat-e-iman hun main bu-e-wafa hun