khulta nahin hai raaz hamare bayan se lete hain dil ka kaam hum apni zaban se kya lazzat-e-visal ada ho bayan se sab harf chipke jate hain meri zaban se mashhur raaz-e-ishq hai kis ke bayan se meri zaban se ki tumhaari zaban se fitna bana zamin pe har zarra khak ka nikle hain bahr-e-sair wo jis dam makan se us din se mujh ko nind na aai tamam umr ek shab mili thi aankh tere pasban se ye khak mein milae to wo ho sitam-sharik mujh ko zamin se lag unhen aasman se lena sambhaalna ki mere hosh ud chale aata hai koi mast qayamat ki shan se mujh se nazar mila ke tum abru mein bal na do sidha chalega tir na tedhi kaman se bazar-e-ishq mein hain bahut dil jagah jagah dekhen wo mol lete hain kis ki dukan se shorida-sar wo hun ki use sar se tod dun gar sang-e-hadsa bhi gire aasman se arzan kare farokht agar mai-farosh-e-ishq lene lagen farishte bhi us ki dukan se guzri hai aazmaish-e-mahr-o-wafa mein umr fursat mujhe mili na kabhi imtihan se dil bhi bacha jigar bhi bacha khair ho gai tir-e-nigah par hua darmiyan se main tum ko nagawar hun dil mujh ko nagawar tum mujh se tang aur hun main tang jaan se han han tera raqib se be-shak hai rabt-zabt rutba yaqin ka hai ziyaada guman se mehr-o-wafa ka nam hai ab baat baat par ye sun liya hai aap ne kis ki zaban se kaisa khila hai phul jab aaya bahaar par puchhe to koi lutf-e-jawani jawan se danista aate jaton se ladta hai raat din phir ho padi thi aaj tere pasban se is khub-ru ko bazm-e-hasinan mein dekhiye karta hai aan-ban badi aan-tan se ai 'dagh' is ki khair manata hai aadmi koi aziz badh ke nahin apni jaan se