kuchh lag kuchh lagaw mohabbat mein chahiye donon tarah ka rang tabiat mein chahiye ye kya ki but bane hue baithe ho bazm mein kuchh be-takallufi bhi to khalwat mein chahiye wo ibtida-e-ishq mein hasil hui mujhe jo baat intiha-e-mohabbat mein chahiye aaenge be-shumar farishte azab ke maidan-e-hashr ghair ki turbat mein chahiye kuchh to pade dabao dil-e-be-qarar par para bhara hua meri turbat mein chahiye mashuq ke kahe ka bura mante ho 'dagh' bardasht aadmi ki tabiat mein chahiye