raaz apna jo kah diya tu ne dil-e-nadan ye kya kiya tu ne dard-e-dil ki na ki dawa tu ne na suni meri iltija tu ne saf hai kis qadar ye dad-e-dast dil diya main ne aur liya tu ne nazr main ne kiya jo apna dil is ke badle mein kya diya tu ne ho ewaz ya na ho karam hai tera dil-e-muztar to le liya tu ne rah par mud ke kyun mujhe dekha ki mohabbat ki ibtida tu ne wada kar ke jo le liya wapas ai sitamgar ye kyun kiya tu ne nahin pahlu mein jab qayam-o-qarar ai khuda kyun ye dil diya tu ne dil lagaya tha ek se 'hafiz' ai khuda kyun kiya juda tu ne mujh ko paida kiya khuda tu ne aur sab kuchh ata kiya tu ne teri rahmat ka kuchh hisab nahin di hai har dard ki dawa tu ne kar ke tauba sambhal gaya aasi phir bhi us ko bacha liya tu ne di hain duniya mein neamaten kya kya apne bandon ko ai khuda tu ne pahle batla diya gunah hai kya afw ki us ki phir khata tu ne dur phenka na baad-e-murdan bhi pas apne bula liya tu ne rahm tera ghazab pe ghaalib hai kyun banai saza jaza tu ne naz us ne uthae ai 'hafiz' rah ke duniya mein kya kiya tu ne