manzil-e-ishq mein din raat badal jate hain dil badal jata hai jazbaat badal jate hain apni hasti se jab insan guzar jata hai dafatan sare maqamat badal jate hain chashm-e-saqi ka ek adna sa ishaara hai bahut zindagi bhar ke khayalat badal jate hain dil pe furqat mein guzarti hai na jaane kya kya tere aa jaane se haalat badal jate hain tod de parda ki ab maut bhi be-parda hui aisi haalat mein hijabaat badal jate hain jalwa-e-subh se hoti hain umangen paida sham aati hai to jazbaat badal jate hain sans ke sath hi rahti hai jawabaat ki aas dam ukhadte hi sawalat badal jate hain sehr hai ya koi fitna hai ye kya hai 'ejaz' aankhon aankhon mein ishaaraat badal jate hain