tahrir hum afsana-e-gham karte rahenge

tahrir hum afsana-e-gham karte rahenge
sar marhala-e-lauh-o-qalam karte rahenge

zindan mein jo aae hain to chhedenge nae git
lai naghma-e-zanjir ki kam karte rahenge

kab tak yunhi chhaenge tasawwur ke ufuq par
kab tak wo khayalon pe karam karte rahenge

socha hai ki bardasht ki khu dalenge hum bhi
hans hans ke talafi-e-sitam karte rahenge

nairangi-e-mahaul pe likkhenge ghazal bhi
aur marsiya-e-nau bhi raqam karte rahenge

hai dil mein huzuri ki tamanna to jabin ko
shaista-e-adab-e-haram karte rahenge

hum ahl-e-qalam us ko samajhte hain fariza
sachchai ko alfaz mein zam karte rahenge

mahsus ye hota hai 'ziya' fikr ke dushman
fankar ke hathon ko qalam karte rahenge


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close