khulus-e-sajda har ek haal mein muqaddam hai wahin pe dil bhi jhuka de jahan jabin kham hai hazar jalwon se pur-nur bazm-e-alam hai magar charagh-e-mohabbat ki raushni kam hai hamare haal-e-pareshan pe muskura dena bada latif ye andaz-e-pursish-e-gham hai hayat-e-ishq umidon pe katne walo khabar bhi hai ki umidon ki zindagi kam hai qafas mein the to chaman ke liye tadapte the chaman mein aae to ahl-e-chaman ka matam hai bashar ke dar pe jabin-e-bashar ka jhuk jaana qasam khuda ki ye tauhin-e-ibn-e-adam hai wo dil chura ke nigahon se chhup gae 'shaarib' nigah-o-dil se magar fasla bahut kam hai