ye kis ko jag jag ke taron ki chhanw mein hum mangte hain pichhle pahar ki duaon mein kirnen abhi to gum hain ghaneri ghataon mein bah jaengi ghataen ki kirnen hawaon mein jannat ko dur dur to dhunda gaya magar qadmon tale na man ke na teghon ki chhanw mein khushki ke rahbaron se to ye bhi na ho saka kuchh to khuda ka nam chala na-khudaon mein ya-rab qafas hai ya ki chaman kya hai ye jahan uljhe pade hain phul katili lataon mein diwana mast-haal hai us ko khabar kahan jhanjhan padi hui hai ki zanjir panw mein donon ko apne des ki mitti pe naz hai sanpon ki banbiyan bhi hain phulon ke ganw mein sab chal paden jo khuld ko jati ho koi rah gul-mohr ki do-ruya qataron ki chhanw mein hum shaikh se ye kah ke su-e-dair chal diye rakhiyega yaad hum ko bhi apni duaon mein