khulus ho to dua mein asar bhi aata hai shajar hara ho to us mein samar bhi aata hai meri samaat o binai chhinne wale main sun bhi sakta hun mujh ko nazar bhi aata hai tumhein charagh bujhane ka zoam hai lekin hamein tulu-e-sahar ka hunar bhi aata hai kalisa o haram o dair mohtaram lekin inhin ki zad mein kahin mera ghar bhi aata hai falak-nashin sahi mera khuda magar 'mohsin' kabhi kabhi wo zamin par utar bhi aata hai