sar-e-sahra-e-duniya phul yun hi to nahin khilte

sar-e-sahra-e-duniya phul yun hi to nahin khilte
dilon ko jitna padta hai tohfe mein nahin malte

ye kya manzar hai jaise so gai hon soch ki lahren
ye kaisi sham-e-tanhai hai patte tak nahin hilte

maza jab tha ki botal se ubalti phailti rut mein
dhuan sanson se uthta garm boson se badan chhilte

jo bhar bhi jaen dil ke zakhm dil waisa nahin rahta
kuchh aise chaak hote hain jo jud kar bhi nahin silte


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close