main chahta to yahi tha ki kuchh naya karun main

main chahta to yahi tha ki kuchh naya karun main
magar ye ho na saka us se mil ke kya karun main

ye qarz mujh pe jo is zindagi ka ho gaya hai
koi batae mujhe kis tarah ada karun main

ye ishq meri tabiat ko sazgar nahin
ye log kahte hain ab kaam dusra karun main

maza tab aae safar mein agar kuchh aisa ho
wo mujh ko badh ke uthata rahe gira karun main

ajab maqam pe lai hai zindagi mujh ko
sunun dimagh ki ya dil ki ab suna karun main

to kya ye khauf hai apni shanakht kho dunga
tu aaine se bhi har roz kya mila karun main

dhalak na jaun main ek bund ban ke aansu ki
kisi ki aankh mein nashtar sa kyun chubha karun main

guzar dalun main ab raat chain se so kar
na khwab dekhun na ab koi ratjaga karun main

to mere haq mein yahi faisla hua hai abhi
tu intizar abhi aur aap ka karun main

bas ek zara sa ishaara udhar se ho to idhar
darun-e-zat qayamat koi bapa karun main

wo mujh ko odh le 'yawar' kabhi qaba ki tarah
wo mujh ko dhanp de us waqt jab khila karun main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close