kisi ki khush-rang guftugu ki mithas sheron mein dhal gai hai hamari aankhon ke khwab-dan se tumhaari surat nikal gai hai hamara kya hai hamari sochon ko noch khaenge ye parinde hamari chaupal ke shajar ko ghulam dimak nigal gai hai koi batao ki ahl-e-fan ke zamir murda hue hain kab se ki is gali ke gharib bachchon ke sath ghurbat bhi pal gai hai usi ka jurm ab usi ki izzat ke sath khilwad kar raha hai usi ki taqat amir-zade ke munh pe kalak si mal gai hai guzishta shab mere pas baitha tumhaara gham mujh pe hans raha tha wo kah raha tha ki dur ja kar tumhaari pagli badal gai hai