khun-e-dil hota raha khun-e-jigar hota raha ye tamasha ishq mein sham-o-sahar hota raha is jahan-e-ab-o-gil mein yun basar hoti rahi muskuraate bhi rahe daman bhi tar hota raha aarzuon ko tadap kar nind si aati gai qissa-e-bimar-e-gham yun mukhtasar hota raha in ki baaton par yaqin hum umar bhar karte rahe intizar-e-sham-e-wada umr bhar hota raha talkhi-e-gham se na pal bhar ke liye fursat mili umr bhar go chaara-e-dard-e-jigar hota raha