main fart-e-masarrat se dar hai ki na mar jaun likha hai mujhe us ne main had se guzar jaun ek bar hi ho jae ho jae jo hona hai utrun main tere dil mein ya dil se utar jaun jis rah mein bhi dekhun mein naqsh-e-qadam un ka mujh par hai adab lazim ek pal to thahar jaun wo badh ke laga lenge khud mujh ko gale apne jo samne mein un ke ba-dida-tar jaun aankhen jo ata ki hain to ye bhi dua sun le dekhun to use dekhun ya jaan se guzar jaun kyun aankh meri zalim rah rah ke phadakti hai mumkin hai wo aa jaen main bhi to sanwar jaun wo bhi to maza chakkhen kuchh dard mohabbat ka achchha hai ki dil le kar main saf mukar jaun kam-bakht mohabbat bhi ek rog hai jaan-lewa malum nahin mujh ko kab jaan se guzar jaun raste ki wahi mushkil manzil ki wahi duri aur dil ki wahi hasrat ta-hadd-e-nazar jaun palkon se chunun apni kante teri rahon ke jun barg-e-gul hasrat rahon mein bikhar jaun gar chashm-e-karam un ki ho jae kabhi mujh par fan mera chamak uthe main aur nikhar jaun jis shahar ko chhoda tha mayus-e-wafa ho kar ab dil ki yahi zid hai wan bar-e-digar jaun haq baat kahi main ne milni hai saza mujh ko jab manzil-e-dar aae mumkin nahin dar jaun itni badi duniya mein ek un ka sahaara tha jab wo hi nahin ham-dam phir 'soz' kidhar jaun