sanbhaal ai meri mitti badal na jaun kahin mujhe rula de ki patthar mein dhal na jaun kahin kaman-e-jaan mein hun ek aakhiri nafas ka tir main dastaras se bhi apni nikal na jaun kahin samet le mere mahtab mujh ko sine mein jhulas rahi hai koi shai main jal na jaun kahin wafa ke nam pe de jo fareb de mujh ko tabah hone se pahle sanbhal na jaun kahin gharib-e-shahr-e-sukhan apni qadr-o-qimat kya bahut hai bhid 'mujibi' kuchal na jaun kahin