labon tak aaya zaban se magar kaha na gaya fasana dard ka al-mukhtasar kaha na gaya harim-e-naz mein kya baat thi jo raaz rahi wo harf kya tha jo bar-e-digar kaha na gaya ye hadsa bhi ajab hai ki tere gham ke siwa kisi bhi gham ko gham-e-mo'tabar kaha na gaya nafas nafas mein tha ehsas-e-khana-virani kharaba-e-gham-e-hasti ko ghar kaha na gaya talash karta hun ima-e-iltifat abhi wo kya nazar thi ki jis ko nazar kaha na gaya junun ne fikr-o-nazar ko wo rifaten bakhshin khirad ko hum se kabhi dida-war kaha na gaya na koi shor na ghaugha na haw-hu na kharosh khizan ko mausam-e-derina-gar kaha na gaya dil iztirab-e-guzarish ka mahsharistan tha kisi ke samne kuchh bhi magar kaha na gaya