khun odhe hue har ghar ka sarapa nikla aap ke shahr ka andaz nirala nikla chhu ke ek shakhs ko parkha to mulamma nikla us ko main kaisa samajhta tha wo kaisa nikla ruh viran mili rang parida nikla us ko nazdik se dekha to zamana nikla sach ke sahra mein unhen dhund ke thak-haar gae jhut ke shahr mein yaron ka basera nikla khush ho ai dhup ke nezon se jhulasne walo chand ke dosh pe suraj ka janaza nikla jis se katra ke nikalte rahe barson sar-e-rah us se kal hath milaya to wo apna nikla kahin sahra mein bhi das le na hamein sairabi ret ke batn se phunkarta dariya nikla narm-rau tha to sabhi rah se munh mod gae sang uthaya to mere sath zamana nikla wadiyan lafz o maani ki tah-e-ab huin kin pahadon se khayalat ka jharna nikla