sab ki aawaz mein aawaz mila rakkhi hai apni pahchan magar sab se juda rakkhi hai jaane kis rah se aa jae wo aane wala main ne har samt se diwar gira rakkhi hai aisa hota hai ki patthar bhi pighal jata hai tu ne sine mein magar chiz ye kya rakkhi hai zakhm-khurda sahi afsurda sahi apni jabin jaisi bhi hai teri dahliz pe la rakkhi hai us ne mujh se bhi teri sari kahani kah di jis ne tujh ko meri har baat suna rakkhi hai mere sine mein 'munawar' hai usi shokh ka gham jis ke sine mein mere gham ki dawa rakkhi hai