khwab ki rah mein aae na dar-o-baam kabhi is musafir ne uthaya nahin aaram kabhi rashk-e-mahtab hai ek dagh-e-tamanna kab se dil ka nazzara karo aa ke sar-e-sham kabhi shab-ba-khair us ne kaha tha ki sitare larze hum na bhulenge judai ka wo hangam kabhi sarkashi apni hui kam na ummiden tutin mujh se kuchh khush na gaya mausam-e-alam kabhi hum se aawaron ki sohbat mein hai wo lutf ki bas do ghadi mil to sahi gardish-e-ayyam kabhi ai saba main bhi tha aashufta-saron mein yakta puchhna dilli ki galiyon se mera nam kabhi nudrat-e-fikr ne gar sath jo chhoda to 'naim' apne sar lenge tatabbo ka na ilzam kabhi