khush bayaban mein magar shahr mein darna us ka kasa hathon mein liye ghar mein bhi phirna us ka dil dukha ke kabhi hansna kabhi rona us ka mere aangan mein likha tha nahin basna us ka us ne tanhai mein bhi anjuman-arai ki chand ne dekh liya aankhon ko bharna us ka main ne dekha hai sar-e-sham udasi ka khiram panw mein chhaale pahan ke na thaharna us ka aaina dekhna manzur nahin tha us ko lutf deta tha hawa ban ke guzarna us ka har khalish aan ke rukti thi meri banhon mein zindagi dekhti rahti thi tadapna us ka hai ajab tarz-e-mulaqat ajab tarz-e-safar pas aa ke na thaharna na guzarna us ka