meri ana mere dushman ko taziyana hai isi charagh se raushan gharib-khana hai main ek taraf hun kisi kunj-e-kam-numai mein aur ek samt jahan-dari-e-zamana hai ye taeron ki qataren kidhar ko jati hain na koi dam bichha hai kahin na dana hai abhi nahin hai mujhe maslahat ki dhup ka khauf abhi to sar pe baghawat ka shamiyana hai meri ghazal mein rajaz ki hai ghan-garaj to kya sukhan-wari bhi to kar-e-sipahiyana hai